Eidain ki Namaz me 6 Takbeere Sunnat hai Part 2 [Eidain me 12 Takbeere Huzur SAW se Saabit NAHI hai]

Ghair Muqallideen Hazraat Eidain me 12 Takbeero ke qaayil hai, Is Masle par Unke Dalaail ka Tarteebwaar Jawaab pesh e Khidmat hai :

Hadees no 1 :

حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرٍ قَالَ: حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، قَالَ: حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ يَعْلَى الطَّائِفِيُّ، عَنْ عَمْرِو بْنِ شُعَيْبٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَدِّهِ، «أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَبَّرَ فِي عِيدٍ ثِنْتَيْ عَشْرَةَ تَكْبِيرَةً، سَبْعًا فِي الْأُولَى، وَخَمْسًا فِي الْآخِرَةِ»

Sanad :
Imam Abu bakr Ibn Abi Shaiba Rh. — > Wakii Rh. — > Abdullah bin Abdur Rehman bin Ya’ala At-taa-efi — > Amr bin Shoaib Rh. AN— > Unke Waalid [Shoaib Rh.] AN— > Abdullah bin Amr bin Aaas Rdh. — > Huzur SAW.
(Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 4 : Safa 212-213)
Scan Page :
musnfsh04_Page201 - Copy
Al – Jawaab no 1 :
Is riwayat me Amr bin Shoaib Rh. aur Unke Waalid Shoaib Rh. Dono MUDALLIS hai.
(Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 35)
(Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 34)
Scan Page : Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 35
تعريف اهل التقديس بمراتب الموصوفين بالتدليس_Page32
Scan Page : Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 34
تعريف اهل التقديس بمراتب الموصوفين بالتدليس_Page31
Aur Mudalliseen ki AN Waali riwayaat Ghair Muqallideen ke Nazdeek Zaeef hoti hai.(Nurul Aainain :507)
Scan Page :
Nurul Aainain_Page510
Algarz Hazraat, Jis riwayat me 2 2 Raaviyo ke Mudallis hone ke Alaawa Ek aur Raavi Zaeef ho, pata Nahi uski riwayat ko ghair Muqallideen kis Muh se Istedlaal Karte hai ?
Al – Jawaab no 2 :
Is riwayat me Ek aur Raavi : Abdullah bin Abdur Rehman At-Taa-ei Rh. Maujood hai :
Unke bare me Imam Ibn Maeen Rh. Al Mutawaffa 233 Hij. Farmaate hai ke Zaeef hai.
Imam Abu Haatim Rh. Al Mutawaffa 277 Hij. Farmaate hai ke Yeh raavi Qawi nahi hai, Imam Nasaai Rh. Al Mutawaffa 303 Hij. Bhi Yahi Farmaate hai ke wo Qawi nahi hai.
Imam Bukhari Rh. Al Mutawaffa 256 Hij. Farmaate hai ke Feehi Nazar [Uski Hadeese Qaabil e Ghaur hai]
(Taarekh e Yahiya Bin Maeen : Jild 1 : Safa 167)
(Zuaafa wal Matrookin Lin Nasaai : Raqm no 320)
(Al Mughni Fiz Zuaafa : Jild 1 : Safa 490)
(Al Kaamil Li Ibn A’adi : Jild 5 : Safa 276)
Scan Page : Zuaafa wal Matrookin Lin Nasaai
Zuaafa e Sagheer , Zuaafa Wal Matrookin_Page198
Scan Page : Al Mughni Fiz Zuaafa
01_1609_Page490
Scan Page : Al Kaamil Li Ibn A’adi
kdra5_Page276
Imam Bukhari Rh. ki Feehi Nazar ke bare me Ghair Muqallid Aalim Abdul Manna Noorpuri Sahaab Farmaate hai ke
Jis Raavi ke Mutalliq Imam Bukhari Rh. ka Yeh [Feehi Nazar ki Jarah ka] Faisla De, Uski riwayat NA QAABIL e AITEJAAJ, NA QAABIL E ISTESH-HAAD aur NA HI QAABIL E AITEBAAR.
(Mukallamaat e Noorpuri : Safa 378)
Scan Page :
Mukalimat e Noorpoori_Page374
Yaani Noorpuri Sahaab ki baat ka Khulaasa yeh hai ke Jis Raavi par Imam Bukhari Rh. Feehi Nazar ki Jarah Karde, Uski riwayat se na Aite-jaaj Durust hai aur NA USKI MUTA’ABIYAAT ME PESH KI JAASAKTI HAI.
Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Al Mutawaffa 852 Hij. Farmaate hai ke Sadooq Khata kaar aur Wahem Khaana waala Raavi hai.
Imam Zehbi Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. bhi Imam Abu Haatim Rh. ke Faisle se Raazi hai.
(Taqreeb : Raqm no 3438)
(Al Kaashif : Jild 1 : Safa 568)
Scan Page : Taqreeb
1531_Page311
Scan Page : Al Kaashif
kashif1_Page568
Aur Yahi Wajeh ke
Imam Nasaai Rh. Al Mutawaffa 303 Hij.,
Imam Ibn Shaheen Rh. Al Mutawaffa 385 Hij.,
Imam Uqaili Rh. Al Mutawaffa 322 Hij.,
Imam Ibn ul Jauzi Rh. Al Mutawaffa 597 Hij.,
Imam Zehbi Rh. Waghairah ne Is Raavi ko Zuaafa me Shumaar Farmaaya hai, Jisse Maloom hota hai ke Unke nazdeek bhi Yeh Raavi Zaeef hai.
(Zuaafa wal Matrookin Lin Nasaai : Raqm no 320)
(Taarekh e Asma uz Zuaafa Li Ibn Shaheen : Jild 1 : Safa 117)
(Zuaafa e Kabeer Lil Uqaili : Jild 2 : Safa 670)                
(Zuaafa wal Matrookin Li Ibn ul Jauzi : Jild 2 : Safa 130)
(Al Mughni Fiz Zuaafa : Jild 1 : Safa 344)
Scan Page : Zuaafa wal Matrookin Lin Nasaai
Zuaafa e Sagheer , Zuaafa Wal Matrookin_Page198
Scan Page : Taarekh e Asma uz Zuaafa Li Ibn Shaheen
17600_Page117
Scan Page : Zuaafa e Kabeer Lil Uqaili
dufaao_Page670
Scan Page : Zuaafa wal Matrookin Li Ibn ul Jauzi
dmga2_Page130
Scan Page : Al Mughni Fiz Zuaafa
01_1609_Page490
Lehaaza Ghair Muqallideen ke Nazdeek Yeh raavi Saqt Zaeef hai, Jiski riwayat Muta’abiyaat me pesh Karne ki bhi Laa-iq Nahi hai.
Al – Jawaab no 3 :
Ghair Muqallid Ahle Hadees Aalim Khwaja Muhammed Qaasim Sahaab Jinko Hafiz Zubair Ali zai Sahaab Azeem Muballigh e Ahlehadees Qaraar dete hai (Maqaalaat : Jild 4 : Safa 398)
Scan Page :
Maqalat-Tehqiqi-Islahi-Aur-Ilmi-4_Page398
Wo Ek Dusri riwayat, Magar Isi Sanad [عَمْرِو بْنِ شُعَيْبٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَدِّهِ ] par Kalaam Karte huwe Farmaate hai ke Imam Tirmizi Rh. Dusre Maqam par Likhte hai :
Muhaddiseen ne Amr bin Shoaib ki riwayat ko Zaeef Isliye Kaha hai, wo Apne Dada ke Sahife se bayaan Karta tha, Khud Uska Dada se Sima’a Saabit nahi, Yahiya bin Saeed Kehte hai ke Amr bin Shoaib ki riwayat Hamaare Nazdeek Bekaar hai.
(Taweez aur Dam : Safa 10)
Scan Page :
Taweez aor damm_Page11
Maloom huwa ke Ghair Muqallideen ke Nazdeek bhi Amr bin Shoaib Rh. ki riwayat [عَمْرِو بْنِ شُعَيْبٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَدِّهِ ] ke Sanad ke saat se Zaeef wa Bekaar hai.
Aur Yeh Eidain ki Takbeeraat waali riwayat bhi isi Sanad [عَمْرِو بْنِ شُعَيْبٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَدِّهِ ] se Marwi hai, Lehaaza Saabit huwa ke Ahlehadees Hazraat ke nazdeek bhi Yeh riwayat Zaeef hai.
Phir Istedlaal Kaise Saheeh Hoga ?
Hadees no 2 :

حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ، حَدَّثَنَا ابْنُ لَهِيعَةَ، عَنْ عُقَيْلٍ، عَنِ ابْنِ شِهَابٍ، عَنْ عُرْوَةَ، عَنْ عَائِشَةَ، «أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يُكَبِّرُ فِي الْفِطْرِ وَالْأَضْحَى، فِي الْأُولَى سَبْعَ تَكْبِيرَاتٍ، وَفِي الثَّانِيَةِ خَمْسًا»

Sanad :
Imam Abu Dawud Rh. — > Qutaiba Rh. — > Ibn Lahiya Rh. AN — > Uqail Rh. — > Ibn Shihaab Rh. AN — > Urwa Rh. — > Ayesha Rdh. — > Huzur SAW.
(Sunan e Abi Dawud : Hadees no 1149)
Scan Page :
malims1_Page475
Al – Jawaab :
Is riwayat me Ibn Lahiya Rh. aur Ibn Shihaab Rh. MUDALLIS hai.
(Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 54)
(Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 45)
Scan Page : Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 54
تعريف اهل التقديس بمراتب الموصوفين بالتدليس_Page51
Scan Page : Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 45
تعريف اهل التقديس بمراتب الموصوفين بالتدليس_Page42
Aur Mudalliseen ki AN Waali riwayaat Ghair Muqallideen ke Nazdeek Zaeef hoti hai, Jaisa ke Tafseek Guzar chuki.
Hadees no 3 :

أَخْبَرَنَا أَبُو عَبْدِ اللهِ الْحَافِظُ، ثنا أَبُو بَكْرِ بْنُ إِسْحَاقَ الْفَقِيهُ، أنبأ الْحَسَنُ بْنُ عَلِيِّ بْنِ زِيَادٍ، ثنا ابْنُ أَبِي أُوَيْسٍ , ثنا كَثِيرُ بْنُ عَبْدِ اللهِ بْنِ عَمْرِو بْنِ عَوْفٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ جَدِّهِ، ” أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يُكَبِّرُ فِي الْعِيدَيْنِ فِي الرَّكْعَةِ الْأُولَى بِسَبْعِ تَكْبِيرَاتٍ , وَفِي الثَّانِيَةِ خَمْسَ تَكْبِيرَاتٍ قَبْلَ الْقِرَاءَةِ “

Sanad :
Imam Behaiqi Rh. — > Imam Abu Abdullah al Hafiz Rh. — > Abu bakr bin Ishaq Al Faqi Rh. — > Hasan bin Ali bin bin Ziyaad Rh. — > Ibn Abi Owais Rh.   — > Kaseer bin Abdullah Rh. — > Abdullah bin Amr bin Aauf Rh.    — > Aauf Rdh. — > Rasoolullah SAW.
(Sunan e Kubra Lil Behaiqi : Jild 3 : Safa 404)
Scan Page :
skb03_Page404
Al – Jawaab :
Is riwayat me Ek Raavi Kaseer bin Abdullah Rh. jo ke Zaeef hai, Balke Unke upar Kazzaab ki Jarah bhi Maujood hai.
(Taqreeb : Raqm no 5617)
Scan Page :
1531_Page460
Isi Tarah Abdullah bin Amr bin Aauf Rh. bhi Majhool hai.
Lehaaza Yeh riwayat bhi Zaeef wa Mardood hai.
Hadees no 4 :

أَخْبَرَنَا أَبُو الْحُسَيْنِ بْنُ الْفَضْلِ الْقَطَّانُ، ثنا عَبْدُ اللهِ بْنُ جَعْفَرٍ، ثنا يَعْقُوبُ بْنُ سُفْيَانَ، حَدَّثَنِي حَيْوَةُ بْنُ شُرَيْحٍ، ثنا بَقِيَّةُ، عَنِ الزُّبَيْدِيِّ، عَنِ الزُّهْرِيِّ، عَنْ حَفْصِ بْنِ عُمَرَ بْنِ سَعْدِ بْنِ قَرَظٍ، أَنَّ أَبَاهُ، وَعُمُومَتَهُ أَخْبَرُوهُ , عَنْ أَبِيهِمْ سَعْدِ بْنِ قَرَظٍ: ” أَنَّ السُّنَّةَ فِي صَلَاةِ الْأَضْحَى وَالْفِطْرِ أَنْ يُكَبِّرَ الْإِمَامُ فِي الرَّكْعَةِ الْأُولَى سَبْعَ تَكْبِيرَاتٍ قَبْلَ الْقِرَاءَةِ، وَيُكَبِّرَ فِي الرَّكْعَةِ الثَّانِيَةِ خَمْسَ تَكْبِيرَاتٍ قَبْلَ الْقِرَاءَةِ “

Sanad :
Imam Behaiqi Rh. — > Abul Hussain bin Fazl Rh. — > Abdullah bin Jafer Rh. — > Yaqub bin Sufiyan Rh. — > Haiwa bin Shurai Rh. — > Baqiya Rh. AN — > Zubaidi Rh.— > Zuhri Rh. AN — > Hafs bin umar bin Sa’ad Rh. — > Umar bin Sa’ad Rh.– > Sa’ad Rdh.
(Sunan e Kubra Lil Behaiqi : Jild 3 : Safa 405)
Scan Page :
skb03_Page405
Al – Jawaab no 1 :
Is riwayat me Baqiya Rh. aur Zuhri Rh., Yeh Dono Mudallis hai.
(Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 49)
(Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 45)
Scan Page : Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 49
تعريف اهل التقديس بمراتب الموصوفين بالتدليس_Page46
Scan Page : Tabqaat ul Mudalliseen : Safa 45
تعريف اهل التقديس بمراتب الموصوفين بالتدليس_Page42
Aur Mudalliseen ki AN Waali riwayaat Ghair Muqallideen ke Nazdeek Zaeef hoti hai, Jaisa ke Tafseek upar Guzar chuki.
Al – Jawaab no 2 :
Is riwayat me Baqiya Rh. ke Ustaad Zubaidi Rh. aur Hafs bin Umar bin Sa’ad Rh., Yeh Dono Majhool hai.
Lehaaza Is riwayat me 2 2 Mudalliseen ke Alaawa 2 2 Raavi Majhool ho, Toh yeh riwayat se Kaise Istedlaal Kiya Jaasakta hai.
Hadees no 5:

وَحَدَّثَنَا أَبُو مُحَمَّدِ بْنُ يُوسُفَ الْأَصْبَهَانِيُّ، أنبأ أَبُو مُحَمَّدٍ عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ يَحْيَى الزُّهْرِيُّ بِمَكَّةَ , ثنا أَبُو عَبْدِ اللهِ مُحَمَّدُ بْنُ عَلِيِّ بْنِ زَيْدٍ , ثنا إِبْرَاهِيمُ بْنُ الْمُنْذِرِ، ثنا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ سَعْدٍ الْمُؤَذِّنُ، حَدَّثَنِي عَبْدُ اللهِ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ عَمَّارِ بْنِ سَعْدٍ، وَعُمَرُ بْنُ حَفْصِ بْنِ عُمَرَ بْنِ سَعْدٍ، عَنْ آبَائِهِمْ، عَنْ أَجْدَادِهِمْ، ” أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَبَّرَ فِي الْعِيدَيْنِ فِي الْأُولَى سَبْعًا، وَفِي الْآخِرَةِ خَمْسًا، وَكَانَ يُكَبِّرُ قَبْلَ الْقِرَاءَةِ , وَذَهَبَ مَاشِيًا وَرَجَعَ مَاشِيًا “

Sanad :
Imam Behaiqi Rh. — > Abu Muhammed bin Yusuf Rh. — > Abu Muhammed Abdur Rehman bin Yahiya Rh. — > Abu Abdullah Muhammed bin Ali bin Zaid Rh. — > Ibrahim bin Munzir Rh. — > Abdur Rehman bin Sa’ad Al Mu-azzan Rh. — >Abdullah bin Muhammed bin Ammaar bin Sa’ad Rh. wa Umar bin Hafs bin Umar bin Sa’ad Rh. — > Muhammed bin Ammaar Rh. bin Sa’ad Rh. wa Hafs bin Umar bin Sa’ad Rh. — > Sa’ad Rh. — > Huzur SAW.
(Sunan e Kubra Lil Behaiqi : Jild 3 : Safa 406)
Scan Page :
skb03_Page406
Al – Jawaab no 1 :
Is riwayat me Ek Raavi Abdur Rehman bin Sa’ad Al Mu-azzan Rh. hai, Jinke bare me Imam ul Jarah wa Ta’adeel Imam Yahiya bin Maeen Rh. Al Mutawaffa 233 Hij.Farmaate hai ke Zaeef hai.
Imam Bukhari Rh. Al Mutawaffa 256 Hij. Farmaate hai ke Uski Hadeese Qaabil e Ghaur hai.
Imam Abu Ahmed Al Haakim Rh. Al Mutawaffa 378 Hij. Farmaate hai ke Uski Hadeese Hujjat Qaayim Karne ke Laa-iq Nahi hai.
(Tehzeeb ut Tehzeeb : Jild 6 : Safa 183)
Scan Page :
06_1515_Page183
Hafiz Ibn Hajar Asqalaani Rh. Al Mutawaffa 852 Hij. Farmaate hai ke Yeh Raavi Zaeef hai. (Taqreeb : Raqm no 3873)
Scan Page :
1531_Page341
Imam Zehbi Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. bhi Farmaate hai ke Usko Imam ibn Maeen Rh. ne Zaeef Qaraar diya hai. (Al Kaashif : Jild 1 : Safa 629)
Scan Page :
kashif1_Page629
Maloom huwa ke Abdur Rehman bin Sa’ad Al Mu-azzan Rh. Zaeef hai.
Al – Jawaab no 2 :
Isi Tarah Isme Ek aur Raavi Umar bin Hafs bin Umar bin Sa’ad Rh. Maujood hai aur Inke bare Imam Ibn Maeen Rh. Farmaate hai Yeh Kuch bhi nahi hai.
(Al Jarah Wa Ta’adeel Li Ibn Abi Haatim : Jild 6 : Safa 103)
Scan Page :
06_1552_Page103
Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Farmaate hai ke Usme Kamzoori hai.
(Taqreeb : Raqm no 4878)
Scan Page :
1531_Page411
Mazeed Imam Zehbi Rh. ne Deewan e Zuaafa me bhi Is raavi Shumaar karke Zaeef qaraar diya hai.
(Deewan e Zuaafa wal Matrookin : Jild 1 : Safa 291)
Scan Page :
Dewaan e Zuaafa By Imam Zehbi Rh_Page291
Ek aur raavi Abdullah bin Muhammed bin Ammaar bin Sa’ad Rh. hai, Unko Imam Ibn Maeen Rh. ne Zaeef Kaha hai
(Mizaan ul Aitedaal : Jild 2 : Safa 490)
Scan Page :
02_15345_Page490
Aur Is raavi ko Imam Zehbi Rh. ne Deewaan e Zuaafa me Shumaar Farmaake Zaeef Qaraar diya hai.
(Deewan e Zuaafa wal Matrookin : Jild 1 : Safa 226)
Scan Page :
Dewaan e Zuaafa By Imam Zehbi Rh_Page226
Tambeeh :
Chunke 12 Takbeeraat ki Saari Hadeese Zaeef wa MARDOOD hai, Ghaliban Yahi wajeh hai : ke Jab Hafiz Zubair Ali zai Sahaab se Takbeeraat e Eidain ke Mutalliq Sawaal kiya gaya, Toh Unhone Ba-jaaye Koi Marfu Hadees pesh karne ke, Hazrat Abu Hurairah Rdh. ka Amal pesh kiya hai. (Maqaalaat : Jild 3 : Safa 197)
Jabke Eidain ke Masle par Fuqaaha e Kiraam ka Ikhtelaaf hai.
Aur ghair Muqallideen ke Muhaddis Yahiya Gondalwi Sahaab Farmaate hai ke “aur Taba-in ke Aqwaal Balke Sahaba ke Aqwaal Ikhtelaafi Umoor me Hujjat nahi hote.”
(Khair ul Kalaam : Safa 249)
Scan Page :
Khairul-Kalam-Fi-Wajob-e-ilfatihat-Khal-Falimam_Page255
Ahlehadeeso ke Jadaad Muhaqiq Maulana Dawud Arshad Tehreer Karte hai ke
Mazeed yeh ke Jis Masle me Sahaba Kiraam Rdh. me Ikhtelaaf ho, Toh waha bhi unke Aqwaal na-Qaabil e Amal huwa karte hai.
(Hadees aur Ahle-Taqleed : Jild 1 : Safa 224)
Scan Page :
Hadees aur Ahletaqleed Part 1_Page225
Isi Tarah Ek aur Ahlehadees Hazraat ke Aalim Razaullah Abdul Kareem Madani Sahaab bhi yahi Farmaate hai.
(12 Masaail ka Haqeeqat Pasandaana Jayeza : Safa 337)
Lehaaza Ghair Muqallideen ke Nazdeek Sahaba Rdh. ke Aqwaal Qususan Ikhtelaafi Umoor me Toh Hujjat hi nahi hai,
Toh Zubair Ali zai Sahaab ka Hazrat Abu Hurairah Rdh. ka qaul Pesh karna, Khud Ahlehadees Hazraat ke Usool ki Rooshni me BAATIL wa MARDOOD hai.
Khulaasa Yeh ke Huzur SAW se Eidain ki Namaz me 12 Takbeere Kehna Kisi Saheeh Hadees se Saabit nahi hai.
Balke 6 Takbeere hi Huzur SAW se Saabit hai.

No comments:

Post a Comment